Tumhara Sabse Lamba Drawdown Kitne Din Chala Tha?
Mera ek time tha jab 11 din tak ek bhi winning day nahi aaya. Har din lagta tha aaj sudhar jayega, par har din thoda aur loss. Us time maine trading band nahi ki, bas lot size aadha kar diya aur sirf A+ setup liye.
Tumhara sabse lamba kharab phase kitna chala tha? Usse bahar kaise nikle? Break liya tha ya lot chhota karke chalte rahe?