Title: Daily Growth Ke Liye Ek Professional Trader Ka Routine Kya Hota Hai?
Bhai professional trader ka din sirf chart kholne se start nahi hota. Wo pehle market ka plan banata hai, news check karta hai, apne levels mark karta hai, fir apne setup ka wait karta hai. Trade ke baad wo apna journal update karta hai aur apni galti note karta hai. Maine jab se ye routine follow karna start kiya hai, tab se meri trading me bahut improvement aaya hai. Tumhara daily trading routine kya hai, tum market kholne se pehle plan banate ho ya direct trade le lete ho?