Beginner Trader Ka Sabse Strong Weapon Kya Hona Chahiye?
Bhai beginner trader ke paas na bada capital hota hai na bada experience, uske paas sirf ek cheez hoti hai sikhne ki bhukh. Maine jab start kiya tha toh mujhe lagta tha indicator hi sab kuch hai, lekin baad me samjha ki sabse strong weapon patience aur discipline hai. Jo trader wait karna sikh gaya, wo market me survive kar gaya. Tumhare hisab se ek beginner ke liye sabse strong weapon kya hai, strategy ya patience?