Blue Guardian Me Drawdown Bachane Ka Sabse Aasan Tarika Kya Hai?
Bhai Blue Guardian ka challenge ho ya koi bhi prop firm, sabse pehle drawdown hi account khata hai. Maine ye sikha hai ki agar daily loss limit ka 50% bhi hit ho jaye toh us din trading band kar deni chahiye. Ek din ka rest, agle din fresh mind se better decision deta hai. Bahut se trader ek hi din me recover karne ke chakkar me pura account uda dete hai. Tum drawdown se bachne ke liye kaunsa rule follow karte ho?