Beginner Traders Ki Sabse Badi Galti Jo Growth Rok Deti Hai
Bhai maine bahut sare beginner traders ko dekha hai, sabki ek hi galti hoti hai, wo jaldi ameer banna chahte hai. Is chakkar me wo bada lot le lete hai, SL nahi lagate aur ek loss ke baad usko recover karne ke liye 3-4 trade aur le lete hai. Isse account aur jaldi wash hota hai. Growth ke liye sabse pehle capital bachana sikhna padega, profit baad me aayega. Tumne apni trading me aisi kaunsi galti ki hai jisse tumne sabse bada lesson sikha?